Sunday, 25 December 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-25

Namaaz ka Masnoon Tareeqa

Haath baandhne ka Tareeqa


1) Daahne haath ki hatheli baayein haath ki hatheli ki pusht par rakhna. (Bukhari: 740, Shaami: 2/172, Sunanus Salaah)
2) Chhoti ungli aur angoothhe se halqa bana kar gatte ko pakadna. (Muatta Imaam Muhammad ma'a Sharhihi: 2/62; Shaami: 4/19, Baab Sifatis Salaah, Fasl)
3) Beech ki teen ungliyon ko kalaai par rakhna. (Muatta Imaam Muhammad ma'a Sharhihi: 2/62; Shaami: 4/19, Baab Sifatis Salaah, Fasl)
4) Naaf ke neeche haath baandhna. (Abu Dawud: 758, Shaami: 4/18, Sunanus Salaah)

Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Saturday, 17 December 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-24

Namaaz ka Masnoon Tareeqa

Qayaam aur donon haathon ko uthhaane ka tareeqa

1) Takbeer-e-Tahreema ke waqt seedha khada hona aur sar ko na jhukaana. (Sura-e-Baqarah: 238, Shaami: 3/479, Sunanus Salaah)
2) Takbeer-e-Tahreema ke waqt donon haathon ko kaanon tak uthhaana (Takbeer-e-Tahreema ke waqt haathon se kaanon ka chhoona zaroori nahin hai) (Muslim, Shaami: 4/4, Baab Sifatis Salah, Fasl)
3) Hatheliyon ko qible ki taraf rakhna. (Tabraani Kabeer: 711, Ibn-e-Umar (raz); Shaami: 4/4, Sunanus Salaah)
4) Ungliyan ko apni haalat par rakhna yaani na ziyaada khuli rakhna aur na ziyaada band rakhna. (Sahi Ibn-e-Khuzaima: 459, Abu Hurairah (Raz); Shaami: 3/476, Sunanus Salaah)
5) Donon pairon ke darmiyaan (kam se kam chaar ungal ka) faasla rakhna aur pairon ki ungliyaan qible ki taraf rakhna. (Nasai: 893, Abdullah Bin Mas'ood (raz); Shaami: 3/384, Bahasul Qiyaam)
6) Haalat-e-Qayaam mein nigaah ko sajde ki jaga rakhna. (Sunanul Kubra Lil Baihaqi: 3686, Anas (raz); Shaami: 3/489, Aadaabus Salaah)
7) Sana padhna. (Abu Dawood: 758, Abu Hurairah (raz); Shaami: 4/18, Sunanus Salaah)

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Wednesday, 14 December 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-23

Duaa-e-Qunoot

Allaahumma innaa nasta'eenuka wa nastagfiruka, wa nu'minu bika wa natawakkalu 'alaika wa nusnee 'alaikal khair, wa nashkuruka wa laa nakfuruka, wa nakhla'u wa natruku mainyyafjuruka,
Allaahumma iyyaaka na'abudu wa laka nusallee, wa nasjudu wa ilaika nas'aa, wa nahfidu wa narjoo rahmataka, wa nakhshaa 'azaabaka, inna 'azaabaka bilkuffaari mulhiq.


Tarjama: Aye Allah ! Ham tujh se madad maangte hain aur magfirat talab karte hain aur tujh par imaan laate hain aur tujh par bharosa karte hain aur teri behtar ta'areef karte hain aur tera shukr ada karte hain aur teri nashukri nahin karte hain aur alaahida kar dete aur chhod dete hain us shakhs ko jo teri naafarmaani kare. Aye Allah ! Ham teri hi ibaadat karte hain aur khaas tere liye namaaz padte hain aur sajda karte hain aur teri hi taraf daodte aur lapakte hain aur teri hi rahmat ki ummeed rakhte hain aur tere azaab se darte hain, beshak tera azaab kaafiron ko pahonchne waala hai.

(Musannaf Ibn-e-Abi Shaibah: 7027, 7031, Umar Raz; Musannaf Abdur Razzaq: 4978, Ali Raz)

Note: Duaa-e-Qunoot ki jaga koi aur dua bhi padhi ja sakti hai. Albatta afzal yeh hai ke woh duaain padhe jo hadees se saabit hain. Yeh mukhtalif alfaaz se kutube hadees mein marwi hai.

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, 27 November 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-22

✺ Duaa-e-Maasoorah ✺

اللّٰهُمَّ إِنِّيْ ظَلَمْتُ نَفْسِيْ ظُلْمًا كَثِيْرًا وَّلاَ يَغْفِرُ الذُّنُوبَ إِلاَّ أَنْتَ فَاغْفِرْ لِيْ مَغْفِرَةً مِّنْ عِنْدِكَ وَارْحَمْنِيْ إِنَّكَ أَنْتَ الْغَفُوْرُ الرَّحِيْمُ

*Allaahumma innee zalamtu nafsee zulman kaseeranw walaa yagfiruz zunooba illaa antafagfirlee magfiratam min 'indika warhamnee innaka antal gafoorur raheem*

Tarjama: Aye Allah ! Main ne apne nafs par bahut ziyaada zulm kiya aur siwaaye tere aur koi gunaahon ko bakhsh nahin sakta pas tu apni khaas bakhshish se mujh ko bakhsh de aur mujh par raham farma de beshak tu hi bakhshne waala nihaayat raham karne waala hai.

(Bukhari: 834)

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Saturday, 26 November 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-21

اللّٰهُمَّ صَلِّ عَلٰى مُحَمَّدٍوَّعَلٰى اٰلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلٰى إِبْرَاهِيْمَ وَعَلٰى اٰلِ إِبْرَاهِيْمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَّجِيدٌ، اللّٰهُمَّ بَارِكْ عَلٰى مُحَمَّدٍوَّعَلٰى اٰلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلٰى إِبْرَاهِيْمَ وَعَلٰى اٰلِ إِبْرَاهِيْمَ إِنَّكَ حَمِيْدٌ مَّجِيْدٌ

Allaahumma salli 'alaa Muhammadinw wa 'alaa aali Muhammadin kamaa sallaita 'alaa ibraaheema wa 'alaa aali ibraaheema innaka hameedum majeed

Allaahumma baarik 'alaa Muhammadinw wa 'alaa aali Muhammadin kamaa baarakta 'alaa ibraaheema wa 'alaa aali ibraaheema innaka hameedum majeed

Tarjama: Aye Allah ! Rahmat naazil farma Muhammad (ﷺ) par aur aap ki aal par jaise ke tu ne rahmat naazil farmaai ibrahim ('Alaihis Salam) par aur unki aal par, beshak tu taareef ke laaiq badi buzurgi waala hai.

Aye Allah ! Barkat naazil farma Muhammad (ﷺ) par aur aap ki aal par jaise ke barkat naazil farmaai tu ne ibrahim ('Alaihis Salam) par aur unki aal par, beshak tu taareef ke laaiq badi buzurgi waala hai.

(Bukhari: 3370)

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Mukhtasar Deeniyat Part-20

Tashahhud (Attahiyyaat)

  • اَلتَّحِيَّاتُ لِلَّهِ وَالصَّلَوَاتُ وَالطَّيِّبَاتُ، اَلسَّلاَمُ عَلَيْكَ أَيُّهَا النَّبِيُّ وَرَحْمَةُ اللَّهِ وَبَرَكَاتُهُ، اَلسَّلاَمُ عَلَيْنَا وَعَلٰى عِبَادِ اللَّهِ الصَّالِحِيْنَ، أَشْهَدُ أَنْ لَّآ إِلٰهَ إِلاَّ اللَّهُ وَأَشْهَدُ أَنَّ مُحَمَّدًا عَبْدُهُ وَرَسُوْلُهٗ
  • Attahiyyaatu lillaahi wassalawaatu wattaiyyibaatu, assalaamu 'alaika aiyyuhannabiyyu warahmatullaahi wabarakaatuh, assalaamu 'alainaa wa'alaa 'ibaadillaahissaaliheen, ash-hadu allaa ilaaha illallaahu wa ash-hadu anna Muhammadan 'abduhoo warasooluh
Tarjama: Tamaam zabaani ibaadatein aur Tamaam badni ibaadatein aur Tamaam maali ibaadatein Allah hi ke liye hai. Aye Nabi! Aap par salaam ho aur Allah ki rahmat aur us ki barkatein ho, salaam ho hum par aur Allah ke nek bandon par, main gawaahi deta hoon ke Allah ke siwa koi ma'abood nahin aur main gawaahi deta hoon ke (Hazrat) Muhammad (ﷺ) Allah ke bande aur us ke Rasool hain.

(Bukhari: 1202)

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Friday, 25 November 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-19

Kalimaat-e-Namaaz

Takbeer-e-Tahreema (Namaaz shuru karte waqt kahe):

Allaahu Akbar

Tarjama: Allah sab se bada hai. (Tirmizi: 238)

Ruku ki tasbeeh:

Subhaana rabbiyal 'azeem

Tarjama: Main apne azeem Rab ki paaki bayaan karta hoon. (Tirmizi: 261)

Tasmee'a (Ruku se uthhte huwe kahe):

Sami'allaahuliman hamidah

Tarjama: Allah Ta'ala ne sun li us shakhs ki jis ne us ki ta'areef ki. (Bukhari: 722)

Tahmeed (Ruku ke baad seedha khada ho jaaye to kahe):

Rabbanaa lakal hamd

Tarjama: Aye hamaare Rab tamaam ta'areefein tere hi liye hain. (Bukhari: 722)

Sajde ki tasbeeh:

Subhaana rabbiyal a'alaa

Tarjama: Main apne buland Rab ki paaki bayaan karta hoon. (Tirmizi: 261)

Tasleem (Salaam pherte waqt kahe):

Assalaamu 'alaikum wa rahmatullaah

Tarjama: Tum par salaamati aur Allah ki rahmat ho. (Tirmizi: 295)

Sana:

Subhaanakallaahumma wabihamdika wa tabaarakasmuka wa ta'aalaa jadduka walaa ilaaha gairuk

Tarjama: Aye Allah! Hum teri paaki ka iqraar karte hain aur teri ta'areef bayaan karte hain aur tera naam bahot barkat waala hai aur teri buzurgi bartar hai aur tere siwa koi ibaadat ke laaiq nahi. (Tirmizi: 242)

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Sunday, 20 November 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-18

Namaaz ki tarkeeb

Namaaz padhne ke liye ba wuzu qible ki taraf rukh kar ke khade ho jaaye aur jo namaaz padhna ho us ki niyyat dil mein kar le, jaise Fajr ki namaaz ya Zohar ki namaaz padh raha hoon. Yeh niyyat zabaan se bhi kehna behtar hai. Niyyat karne ke baad donon haath donon kaanon ki lau tak uthha kar Takbeer-e-Tahreema "Allaahu Akbar" kahe aur donon haath naaf ke neeche baandh le.
Phir Sana padhe: "Subhaanakallaahumma wabihamdika watabaarakasmuka wa ta'aala jadduka walaa ilaaha gairuk",

phir Ta'awwuz "A'oozubillaahi minash shaitaanirrajeem" padhe,

phir Tasmiyah: "Bismillaahirrahmaanirraheem" padhe.

Phir Sura-e-Faatiha padhe,

Sura-e-Faatiha padhne ke baad aahista se "Aameen" kahe.

Phir Qur'aan-e-Kareem ki koi Surah padhe maslan: "Surah-e-Kausar"

Phir "Allaahu Akbar" kehte hue ruku mein jaaye,

phir ruku ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal 'azeem" kam se kam teen martaba padhe,

phir "Sami'allaahu liman hamidah" kehte huwe itmenaan se seedha khada ho jaaye,

phir "Rabbanaa lakal hamd" kahe, agar Imaam ke peeche ho to Imaam ke "Sami'allaahu liman hamidah" kehne ke baad "Rabbanaa lakal hamd" kahe.

Phir "Allaahu Akbar" kehte huwe sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe,

Phir "Allaahu Akbar" kehte huwe doosre sajde mein jaaye aur sajde ki tasbeeh "Subhaana rabbiyal a'alaa" kam az kam teen martaba padhe,

phir "Allaahu Akbar" kehte huwe doosri rakat ke liye seedha khada ho jaaye.

Phir "Sura-e-Faatiha" padh kar koi surah padhe maslan: "Sura-e-Ikhlaas"

aur isi tarah doosri rakat poori kar ke qa'ade mein baithh jaaye.

Phir Tashahhud padhe: "Attahiyyaatu lillaahi…" aakhir tak. Jab "Ash-hadu" par pahonche to beech ki ungli aur angoothhe se halqa bana le "Laa ilaaha" kehte huwe shahaadat ki ungli uthhaaye aur "Illallaah" par ungli jhuka de magar halqe ki haalat ko namaaz ke akheer tak barqaraar rakhe,

phir Durood Shareef padhe "Allaahumma Salli 'alaa Muhammadin…" aakhir tak,

phir Duaa-e-Maasoora padhe "Allaahumma innee zalamtu nafsi…" aakhir tak,

phir "Assalaamu 'alaikum wa rahmatullaah" kehte huwe pehle daayein jaanib salaam phere phir baayein jaanib, is tarah do rakat namaaz poori hui.

Agar teen ya chaar rakat waali namaaz padh raha ho to "Attahiyyat" ke baad fauran teesri rakat ke liye khada ho jaaye aur (farz namaaz ke alaawa) bataaye huwe tareeqe ke mutaabiq baqiya rakatein poori kar ke Qa'ada-e-Akheera mein baithh jaaye (Farz namaaz ki teesri aur chauthi rakat mein sirf Sura-e-Faatiha padhe aur koi surah na padhe) aur Attahiyyat, Durood Shareef aur Duaa-e-Maasoorah padhne ke baad salaam pher kar namaaz mukammal kare.

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Monday, 14 November 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-17

Aisi cheezein jin se Namaaz toot jaati hai, inhein "Mufsidaat" kehte hain.

1) Namaaz ki haalat mein baat karna, jaan kar ho ya bhool kar, thodi ho ziyaada.

✺ (Shaami: 4/416, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

2) Namaaz se baahar waale kisi shakhs ki dua par "Aameen" kehna.

✺ (Shaami: 4/436, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

3) Kisi dard ya takleef ki wajah se karaahna ya aah, ooh ya uff karna.

✺ (Shaami: 4/432, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

4) Qur'aan Shareef dekh kar padhna.

✺ (Shaami: 4/451, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

5) Qur'aan-e-Majeed padhne mein aisi galti karna ke jis se maani kharaab ho jaaye.

✺ (Shaami: 4/479, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

6) Namaaz ki haalat mein koi aisa kaam karna jis ki wajah se dekhne waala yeh samjhe ke yeh shakhs Namaaz mein nahin hai.

✺ (Shaami: 4/454, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

7) Namaaz padhte huwe koi cheez kha lena.

✺ (Shaami: 4/449, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

8) Qible ki taraf se bagair kisi uzr ke seena pher lena.

✺ (Shaami: 4/464, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

9) Naapaak jagah par sajdah karna.

✺ (Shaami: 4/458, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

10) Namaaz mein koi farz chhod dena.

✺ (Shaami: 4/475, Kitaabus Salaah, Baab Ma Yufsidus Salaah Wama Yukrahu Feeha)

11) Imaam ki jagah se aage badh jaana.

✺ (Shaami: 4/460, Kitaabus Salaah, Baabul Imaamat)

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

Friday, 11 November 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-16

 Namaaz ke Waajibaat

Aisi cheezein jo agar bhoole se chhoot jaayein to sajda-e-sahw karna padta hai.

1) Farz Namaaz ki pehli 2 rakaton ko qiraat ke liye khaas karna.

(Shaami: 3/426, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

2) Farz Namaaz ki sirf pehli 2 rakaton mein aur tamaam Namaazon ki har rakat mein Surah-e-Faatiha padhna.

(Shaami: 3/426, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

3) Farz Namaaz ki sirf pehli 2 rakat mein aur tamaam Namaazon ki har rakat mein Surah-e-Faatiha ke baad ek badi aayat ya teen chhoti aayatein padhna.

(Shaami: 3/426, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

4) Sura-e-Faatiha ko Surah se pehle padhna.

(Shaami: 3/434, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

5) Qirat ke baad ruku aur ruku ke baad sajde mein tarteeb qaaim rakhna.

(Shaami: 3/434, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

6) Qauma karna yaani ruku se uthh kar seedha khada hona.

(Shaami: 3/445, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

7) Jalsa karna yaani donon sajdon ke darmiyaan itmenaan se baithhna.

(Shaami: 3/445, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

8) Ta'adeel-e-arkaan yaani ruku, sajdah, wagaira ko itmenaan se achchhi tarah ada karna.

(Shaami: 3/444, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

9) Qa'ada-e-Oola yaani 3 aur 4 rakat waali Namaaz mein 2 rakat ke baad tashahhud ki miqdaar baithhna.

(Shaami: 3/444, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

10) Donon qa'adon mein tashahhud padhna.

(Shaami: 3/450, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

11) Imaam ko Fajr, Maghrib, Isha, Juma, Eidain, Taraweeh, aur Ramzan Shareef ki witron mein aawaaz se qirat karna.

(Shaami: 3/460, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

12) Zohar aur asr ki Namaazon mein aahista aawaaz se qirat karna.

(Shaami: 3/460, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

13) Lafz Salaam se Namaaz khatm karna.

(Shaami: 3/456, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

14) Witr ki Namaaz mein qunoot ke liye takbeer (Allahu Akbar) kehna aur duaa-e-qunoot padhna.

(Shaami: 3/457, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

15) Donon Eidon mein 6 Zaaid takbeerein (Allaahu Akbar) kehna.

(Shaami: 3/457, Baab Sifatis Salaah, Waajibaatis Salaah)

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp