Tuesday, 8 November 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-13

Paanch Namaazein

1) Fajr
 

2) Zohar
 

3) Asr
 

4) Magrib
 

5) Isha

Rakaton ki ta'adaad

1) Fajr ki namaaz mein 4 rakatein hain: 2 rakat sunnat-e-muakkada, 2 rakat farz.

2) Zohar ki namaaz mein 12 rakatein hain: 4 rakat sunnat-e-muakkada, 4 rakat farz, 2 rakat sunnat-e-muakkada, 2 rakat nafl.

3) Asr ki namaaz mein 8 rakatein hain: 4 rakat sunnat-e-gair muakkada, 4 rakat farz.

4) Magrib ki namaaz mein 7 rakatein hain: 3 rakat farz, 2 rakat sunnat-e-muakkada, 2 rakat nafl.

5) Isha ki namaaz mein 17 rakatein hain: 4 rakat sunnat-e-gair muakkada, 4 rakat farz, 2 rakat sunnat-e-muakkada, 2 rakat nafl, 3 rakat witr waajib, 2 rakat nafl.

Juma ki namaaz mein 14 rakatein hain: Juma se pehle 4 rakat sunnat-e-muakkada, Juma ki 2 rakat farz, us ke baad 4 rakat sunnat-e-muakkada, phir 2 rakat sunnat-e-gair muakkada, phir 2 rakat nafl.

References: (Abu Dawood: 1275; Badaay-e-Ussanaaye: 1/91, Kitaabus Salaah, Fasl fi Adadiha wa Adadi Rakatiha; Badaay-e-Ussanaaye: 1/269, Salaatul Juma wa Bayaanu Miqdaariha; Badaay-e-Ussanaaye: 1/284-285, Kitaabus Salaah, fasl Assalaatul Masnoonah)

Tambeeh: Sunnat-e-muakkada zaroor padhein, is mein hargiz kotaahi na karein.

❥Share on: Email | Telegram | WhatsApp

No comments:

Post a Comment