Saturday, 5 November 2016

Mukhtasar Deeniyat Part-1

Pesh Lafz

✺ Allah Ta'ala ne tamaam insaanon ki duniya ki zindagi aur Aakhirat yaani marne ke baad ki zindagi ki kaamyabi sirf "Deen" mein rakhi hai, Allah Ta'ala ke hukmon ko pura karne aur Aap ﷺ ki bataaye huwe tareeqon ke mutaabiq chalne ka naam "Deen" hai. Lihaaza har musalmaan ke liye zaroori hai ke woh apni zindagi ke har shobe mein Allah Ta'ala ka hukm aur Hazrat Muhammad ﷺ ka tareeqa maaloom kar ke us par amal kare aur us ko logon tak pohnchaane ki fikr kare. Is liye bahot zaroori hai ke musalmaan apni dunyawi mashguliyan ke saath kuchh waqt nikaal kar kam az kam itna ilm haasil kare jo us par farz hai aur koshish kare ke ziyaada se ziyaada ilm haasil kare aur us par amal kare.

✺ In Messages ke zariye Deen-e-Islam ke chand buniyadi faraaiz wa waajibaat bahot saada aur aam fahem zabaan mein aur duaayein wa sunnatein aur deegar buniyaadi baatein batayi jaayingi jin ka janna har musalmaan ke liye zaroori hai aur us par amal karna laazmi hai.

✺ Allah Ta'ala se Dua hai ke is chhoti si koshish ko qubool farmaye aur ham sab ke liye zakheera-e-aakhirat banaaye. (Ameen)

❥❥ Share this on:

No comments:

Post a Comment